Pure poetic lyrics, and such soothing, lilting melodious music, all in the velvety crooning voice of M.Rafi. And young, handsome Dharmendra simultaneously serenading two dreamy, lovely ladies ....
http://www.youtube.com/watch?v=nmcwF4KE6q4
aap ke haseen rukh pe aaj nayaa noor hain
meraa dil machal gayaa to meraa kyaa kasoor hain
aap ke nigaah ne kahaa to kuchh jarur hain

khulee laton kee chhaanv mein khilaa khilaa ye rup hain
ghataa se jaise chhan rahee, subah subah kee dhoop hain
jidhar nazar moodee, udhar surur hee surur hain
meraa dil machal gayaa to meraa kyaa kasoor hain
zukee zukee nigaah mein bhee hain balaa kee shaukhiyaan
dabee dabee haseen mein bhee tadap rahee hain bijaliyaan
shabaab aap kaa, nashe mein khud hee choor choor hain
meraa dil machal gayaa to meraa kyaa kasoor hain
jahaan jahaan pade kadam wahaan fizaa badal gayee
ke jaise sar basar bahaar aap hee mein dhal gayee
kisee mein ye kashish kahaa jo aap mein huzoor hain