Pages

Sunday, September 19, 2010

Aashayein

Saw a beautiful movie called Aashayein. Made by Nagesh Kukunoor about a group of terminally ill people awaiting death. Not very deep, but quite sensitive. Had my ex-heart throb Girish Karnad now grown elderly :))) And a wonderful actress called Anaita Nair. And the added bonus of seeing John Abraham really actually ACTING :))))

Some lovely songs from the film with lyrics -


Ab mujhko jeena


Ab hai ujaala, ab hai savera
Ab inn hawaon, pe kar loon basera
Ab main zamaane ko humraaz kar loon
Ab aasmaano pe parwaaz kar loon
Iss pal mein, hai mujh ko jeena
Ab mujhko jeena
Nakaamiyon se darna kya
Jeene se pehle marna kya
Jhoom kar mera dil ab yeh mujh se kahe
Zindagi hai to zinda dili bhi rahe
Ab iraadon ko hai thaan lena
Ab to khwaabon pe hai jaan dena
Iss pal mein, hai mujh ko jeena
Ab mujhko jeena

Anjaana kal na maanoon main
Yeh pal hai apna jaanoon main
Yahan chaaron taraf pyaar ke silsile
Dekho veeraniyon mein bhi dil hain mile
Apni manzil ki mujh ko khabar hai
Ab to himmat meri humsafar hai
Iss pal mein, hai mujh ko jeena
Ab mujhko jeena



Shukriya zindagi

listen to Shukriya zindagi here...

chan ke aai to kya, chaandni to mili
chand din hi sahi yeh kali to khili
shukriya zindagi, shukriya zindagi
teri mehrbaaniyan, teri mehrbaaniyan

sirf ek rang se tasveer hoti kahin
gham nahi to khushi ki qeemat nahi
dhoop, chaaon hain dono to dilkash jahaan
kya shikaayat karain, fursat kahaan
shukriya zindagi, shukriya zindagi
teri mehrbaaniyan, teri mehrbaaniyan

apni taqdeer ki hai yeh daastaan
kabhi qaatilaana, kabhi mehrbaan
mehrbaani jo dil ko qaraar aagaya
apne qaatil pe bhi pyaar aagaya
shukriya zindagi, shukriya zindagi
teri mehrbaaniyan, teri mehrbaaniyan

aaj kismat yahan humko laaye toh hai
ek lamha sahi muskuraaye toh hai
shamma bhuji hai toh kya gila
bhujta wohi hai joh tha jalaa
shukriya zindagi, shukriya zindagi
teri mehrbaaniyan, teri mehrbaaniyan

No comments:

Post a Comment