Pages

Monday, September 13, 2010

Poems from 'Udaan'

Lovely poems from a wonderful movie called 'Udaan'

Chhoti chhoti chitrayi yaadein

Chhoti-chhoti chhitrayi yaadein

Bichhi hui hain lamhon ki lawn par
Nange pair unpar chalte-chalte
Itni door chale aaye
Ki ab bhool gaye hain ki

Joote kahan utaare the.

Aedi komal thi, jab aaye the.

Thodi si naazuk hai abhi bhi.

Aur nazuk hi rahegi

In khatti-meethi yaadon ki shararat
Jab tak inhe gudgudati rahe.
Sach, bhool gaye hain
Ki joote kahan utaare the.

Par lagta hai,

Ab unki zaroorat nahin.



Jo lehron se aage nazar dekh paati toh ...

Jo lehron se aage nazar dekh paati toh tum jaan lete main kya sochta hoon,

Woh aawaz tumko bhi jo bhed jaati toh tum jaan lete main kya sochta hoon.

Zid ka tumhare jo parda sarakta khidkiyon se aage bhi tum dekh paate,

Aankhon se aadaton ki jo palken hatate toh tum jaan lete main kya sochta hoon.
Meri tarah khud par hota zara bharosa toh kuchh door tum bhi saath-saath aate,

Rang meri aankhon ka baant-te zara sa toh kuchh door tum bhi saath-saath aate,

Nasha aasmaan ka jo choomta tumhe bhi, hasraten tumhari naya janm paatin,

Khud doosre janam mein meri udaan chhoone kuchh door tum bhi saath-saath aate.


Aazaadiyan

Pairon ki bediyan khwabon ko baandhe nahi re, kabhi nahi re
Mitti ki parton ko nanne se ankur bhi cheeray, dheere dheere
Iraade hare hare, jinke seeno mein ghar kare
Woh dil ki sune kare na darre, na darre

Subah ki kirno ko rokein jo salaakhein hai kahan
Jo khayalon pe pehre daale woh aankhein hai kahan
Par khulne ki deri hai parinde udh ke choomenge
Aasman aasman aasman

Aazaadiyan, aazaadiyan
Maagey na kabhi, mile mile mile
Aazaadiyan, aazaadiyan 


Watch the 'aazadiyaan' song here

No comments:

Post a Comment