Pages

Saturday, February 14, 2009

Khamoshiyaan

Jaise raat ke sannatte mein
chedhi hui dhun
sitaron tak pahunch jaati hai,
waise hi mere dil ki awaaz
tum tak pahunchti hai
khamoshiyon mein.

Lafzon mein woh jaan kahan
itni taaqat kahan
ke apne kandhon par
meri khushi le kar chale?
Mera pyaar lekar tum tak aayein?

Khamoshiyon mein doobkar dekho
mujhe unmein zaroor paoge.

1 comment:

  1. Anonymous3:58 am

    Khamoshi..... tumhari awaaz mujh tak kab aayegi?????

    Valentine friend from chennai

    ReplyDelete